AMAN ki ASHA is an initiative by Times of INDIA and PAKISTAN 
Lines from the times article:
 
Dikhai dete hain dur tak ab bhi saye koi,
Magar bulane se waqt laute na aye koi.
Chalo na phir se bichaye dariya, bajaaye dholak,
Lagaa ke mehndi surile tappe sunaye koi.
Patang Udhaye, Chaton Pe Chadh Kar Mohalle Wale,
Falak Toh Sanjha Hai Us Main Peche Ladaye Koi.
Utho, kabaddi kabaddi khelenge sarhado par ,
Jo aye ab ke to laut kar phir na jaye koi.
Nazar main rehte ho jab tum nazar nahi aate,
Ye sur milate hain jab tum idhar nahi aate....
In lakeeron ko zameen par hi rehene do, dilo pe mat utaarna
